Ankhon mein sama jatay ya dil mein utar jatay

On Saturday, May 14, 2011 0 comments

Ankhon mein sama jatay ya dil mein utar jatay
Dono ka bhala hota dono he sanwar jatay


Miltay to yeh acha tha jeevan ki musafat mein
Kuch faslay kam hotay kuch roz guzar jatay


Doori bhi aas hay ik ghanimat to hay warna
Jo aas pay jeetay hein wo log bikhar jatay hein


Kuch roz judai k iss haal mein bhi guzray
Hanstay howay rodetay ,rotay howay ghar jatay


Manzil hay na thikana hay acha hay kuch bhi nahi
Ruktay to kaha ruktay ,jatay to kaha jatay


Guzra hay yeh aalam bhi tanhai k jungle mein
Bay khof phira kartay phir aap he dar jatay


Bayganggi yeh kasii aay dost maza tab tha
Kuch log idar atay kuch log udar jatay


Aik saath raha karna phir us par guraiz "Yasir"
Maqsood thi doori to meelon say guzar jatay.

0 Comments

No comments yet. Be the first to leave a comment !
Leave a Comment

Next Post Previous Post

Popular Posts

Powered by Blogger